Tuesday

Whether Godhra carange and aftermath violent incidents are within the domestic jurisdication of India

Godhra narsanhar or uske paschat Gujrat me kae dino tak hinsatmk gatnao ne bharat ki chhavi visv me dhumil kr di. Atah antrastriya samuday ke anek desho ko bharat me manav adhikaro ke khule aam ullangann ki aalochana tatha parshashan ki bhartsna karne ka avsar prapt ho gaya.27 farwari, 2002 ko subah 7.45 baje sabarmati express godhra statipn pahunchi. Is gadi ki bogi S-6 me adhiktar Ayudhya ke kaarsevak bethe the. Kaha jata hai ki kaarsevko or station ke fariwalo, visheshkr chaywalo , k madhy kaha suni hue. kuch hi minto me sekdo musalman station par akartitr ho gaye. unhone kaarsevko par pather fekne suru kar diye. Parantu ralwe surksha sena ke do vayktiyo ke samyik hastshep ke karan yah apriygatna tl gayi. Train 7.50 par chal padi. Gadi muskil se 1 km. chali ki use janjir khich rok liya gya.Hajaro ki sankhya me talwaro me, petrolbumbo me, pathro aadi ke sath bhid ni kaarsevko se bhare do choch par aakarman kar diya. Isse pahle ki ralwe sena aa pati ugr bhid ne bogi S-6 par petrol aadi dal kar aag laga di. isske andar isthith kaarsevko ko bahar nhi aane diya tatha kaarsevko ko bogi sahit jala diya gaya. Jab tak ki ralwe surksha sena pahunchti bogi jal chuki thi . yah dekhne per ki isthithi kabu ke bahar ja chuki hai sena ne goliya chalani suru kar di jis se bhid bhag gae par 57 jog mare gaye.
Bogi me lagbhag 59 kaarsevk jinda jala diye gaye the vah ie had tak jal chuke the ki pahchan kar paana muskil tha.
Itni dardnak gatna ki prtikirya hona savbhavik tha. Aas pas ke ilako me hinsatmak gatnaye suru ho gaye. Dhire dhire pure Gujrat me hinsatmk gatno ki ek bhayanak lahar dor gae. yah bhi samja ja sakta hai ki parshashan ko aisi paristhithi ko niyantarn me karne me kuch vakt lagta hai. Parantu jo kuch Gujrat me hua vah apratiyashit tatha kalpana se bhi pare tha. Hinsatmk gatnaye mahino bhar tak chali inme lagbhag 1000 logo ki jane gae. Istathi niyantarn se bahar hote dekh parshashan ne sena bula li.Par sena ke aane ke baad bhi istathi me vises sudhar nahi hua.kendr sarkar ki salah pr K.P.S.Gil, jinhe Panjab me atankwad ko nast karne me ahm bhumika nibhae thi, ko Gujrat ka sahlakaar niyukt kiya gaya.Gil ki niyukti ke baad estathi me veses sudhar hua.Parnntu aaj bhi Gujrat me samany estathi bahaal nahi hue.
Godhra kand ke turant baad Bartiy sansd ko Godhra narsanhar ki bhartsna karte huye parstav parit karna chahiye.aisa is karan n ho saka kyuki vipaks ne sansd ka kary chalne nahi diya, tatha Gujrat ke mukhymantri Narendr Modi ko hataye jane ki maang ki parantu B.J.P. or Rastriy svany sevak sang ko svikary n tha. Kafi samay tak gatirodh bna raha tatha estathi bd se dbttar hoti gayi.
Gujrat ki hinsatmk gatnao ne Bharat ki bahut kharab chhavi prastut ki. Bretain ke Bharat esthith uchchaukt ne apne desh mantrayly ye report bhei ki Gujrat me samprdayk hinsa ka uddheshy Gujrat ke vibhinn bhago se musalmano ka prbhav khatm karna tha. Amerika n apratyksh or namr shabdo me Gujrat me samprdayik hinsa par ked parkt kiya.
Parantu in sabhi abhikathno pr Bharat ki abhikirya yah thi ki yah uska aantarik maamla hai tatha Garelu adhikarita k antargat ka mamla hai. Pardhanmantr Vajpe ne to in desho ko sambhodit krte huye kah dala ki unhe apne desho ke karyo ko dekhna chahiye tatha any desh k mamlo me tipnni nahi karni chahiye. prasn yah uthata hai ki kya Bharat ka yah tark uchit hai? Kya manav adhikar ya uska ullangan kisi desh ke Garelu Adhikarita ke antargat aata hai?

No comments:

Post a Comment

Here You can take your messages for all world

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Make A Donation